Arif Ansari

dil kya kisi ki baat se andar se kaT gaya

Arif Ansari

dil kyā kisī kī baat se andar se kaT gayā
titlī kā rābta kyuuñ gul-e-tar se kaT gayā
do-chār gaam kā hī safar rah gayā thā bas
is vaqt merā qāfila rahbar se kaT gayā
mausam ke sard-o-garm kā jal par asar na thā
vo sañg-dil bhī sher-e-suḳhnavar se kaT gayā
saf meñ muḳhālifoñ kī maiñ samjhā thā ġhair haiñ
dekhā jo apne logoñ ko andar se kaT gayā
ḳhairāt ḳhuub kartā hai jab log saath hoñ
tanhā hai vo abhī to gadāgar se kaT gayā
jab tak uruuj thā to zamāne meñ dhuum thī
juuñ hī zavāl aayā vo manzar se kaT gayā
Top Urdushayar.com