rahtī hai sabā jaise ḳhushbū ke ta.āqub meñ
kuchh yuuñ hī zamāna hai urdu ke ta.āqub meñ
lauTe nahīñ ab tak vo barsoñ hue nikle the
pāzeb kī chāhat meñ ghuñgrū ke ta.āqub meñ
ik jaadū kī Dibiyā hai jo un kā khilaunā hai
bachche nahīñ rahte ab jugnū ke ta.āqub meñ
ma.asūm sī āñkhoñ se ik buuñd hī Tapkī thī
bādal umaD aa.e haiñ aañsū ke ta.āqub meñ
naqqāloñ ke pīchhe kyuuñ phirte ho hunar vaalo
dekhā hai kyā sāgar ko sarjū ke ta.āqub meñ
afkār ke phūloñ kī vaadī hai hadaf 'ārif'
har shā.ir-e-urdu hai ḳhushbū ke ta.āqub meñ