Arif Ansari

alfaz ke patthar kya phenke gae pani mein

Arif Ansari

alfāz ke patthar kyā pheñke ga.e paanī meñ
tūfān sā barpā hai dariyā-e-ma.ānī meñ
ḳhushiyoñ ke fasāne hī dohrā.e nahīñ jaate
haiñ rañj ke chhīñTe bhī ghar ghar kī kahānī meñ
jaadū hī ġhazab kā thā aks-e-ruḳh-e-zebā kā
kyuuñ aag na lag jaatī bahte hue paanī meñ
donoñ hī qabīloñ ne paimān-e-vafā bāñdhe
lauT aa.ī vafā phir se har dushman-e-jānī meñ
tarsīl tamaddun kī hotī bhī to phir kaise
aḳhlāq na hotā gar tahzīb ke baanī meñ
misre pe tire 'ārif' misra.a jo huā chaspāñ
ḳhushbū sī utar aa.ī har ūlā-o-sānī meñ
Top Urdushayar.com