Arif Ansari

zahrab-e-tishnagi ka maza humse puchhiye

Arif Ansari

zahrāb-e-tishnagī kā maza ham se pūchhiye
guzrī huī sadī kā maza ham se pūchhiye
ik pal ḳhayāl-e-yār meñ ham munhamik rahe
ik pal meñ ik sadī kā maza ham se pūchhiye
shohrat kī be-ḳhudī kā maza aap jāniye
izzat kī zindagī kā maza ham se pūchhiye
kaif-o-nashāt jis se milā ham ko bārhā
is karb-e-āgahī kā maza ham se pūchhiye
fikr-e-jahāñ hai aur na luTne kā ḳhauf hai
qallāsh zindagī kā maza ham se pūchhiye
fikr-e-suḳhan meñ ham ne zamāne kī sair kī
'ārif' suḳhanvarī kā maza ham se pūchhiye
Top Urdushayar.com