Arif Ansari

baghban ki be-ruKHi se nile-pile ho gae

Arif Ansari

bāġhbāñ kī be-ruḳhī se nīle-pīle ho ga.e
ḳhaar kī mānind ab gul bhī nukīle ho ga.e
bahte dariyā se sabhī sairāb haiñ lekin mujhe
sirf ik qatra milā bas hoñT giile ho ga.e
mai-kashoñ ne bas qadam rakkhā thā sehn-e-bāġh meñ
phūl-patte bel-būTe sab nashīle ho ga.e
ek hī aadam se haiñ lekin siyāsat ke nisār
kis qadar firqe bane kitne qabīle ho ga.e
mere bachpan kā zamāna phuul kā ambār thā
jaise hī bachpan gayā ambār Tiile ho ga.e
ik nazar tanqīd kī paḌne kī 'ārif' der thī
sher jitne the ġhazal meñ sab rasīle ho ga.e
Top Urdushayar.com