sadiyoñ tumhārī yaad meñ sham.eñ jalā.eñge
pal bhar ke ba.ad phir bhī tumheñ bhuul jā.eñge
ta.amīr mudda.ā talab-e-zauq ho ga.ī
buniyād-e-dard hogī to dīvār uThā.eñge
ab kāhish-e-junūñ kā koī silsila nahīñ
haañ be-dilī se dast-e-duā bhī uThā.eñge
ai kārvān-e-tez-qadam māñdgāñ ko dekh
āñkhoñ meñ kyā ġhubār-e-sar-e-rah sajā.eñge
likkheñge qahqahoñ se bas ik dāstān-e-dil
us par hadīs-e-dard kā unvāñ jamā.eñge
yūñhī sahī jo garmī-e-bāzār ham se hai
ham bech kar zamīr-e-nazar muskurā.eñge
yā chāk-e-dil ko chāk-e-garebāñ banā sakeñ
yā duḳhtarān-misr se dāman bachā.eñge
kyā raḳhsh-e-umr hīla-e-marg-āshnā nahīñ
uTThegī mauj-e-reg-e-ravāñ Duub jā.eñge
harf-āshnā na hogī koī mauj-e-dard-e-dil
siine pe rakh ke haath magar baiTh jā.eñge