kuchh mirī sun kuchh apnī sunā zindagī
dard-e-dil aur thoḌā baḌhā zindagī
zindagānī ke fan se huuñ lā-ilm maiñ
zindagī karnā mujh ko sikhā zindagī
tū ne ab tak vafā kī bahut shukriya
shukriya shukriya shukriya zindagī
har qadam Thokareñ zaḳhm har gaam haiñ
kab talak duuñ batā ḳhūñ-bahā zindagī
ye kyā har gaam bas lan-tarānī vahī
giit koī nayā gungunā zindagī
ye bhī batlā zarā tujh ko kaisā lagā
maut se jab huā sāmnā zindagī
raushnī kyuuñ syāhī meñ Dhalne lagī
tujh se 'ārif' huī kyā ḳhafā zindagī