Ziyaul Hasan

maujud kuchh nahin yahan madum kuchh nahin

Ziyaul Hasan

1964
maujūd kuchh nahīñ yahāñ ma.adūm kuchh nahīñ
ye ziist hai to ziist kā mafhūm kuchh nahīñ
manzar hijāb aur hī kuchh manzaroñ ke haiñ
ma.alūm ham ko ye hai ki ma.alūm kuchh nahīñ
ḳhvāb-o-ḳhayāl samjheñ to maujūd hai jahāñ
kuchh bhī sivā.e nuqta-e-mauhūm kuchh nahīñ
harf-o-bayāñ nazāre sitāre dil-o-nazar
har shai meñ intishār hai manzūm kuchh nahīñ
jo mil gayā hai, jis kī hameñ aarzū rahī
aur jis se ḳhud ko rakkhā hai mahrūm kuchh nahīñ
jis ke baġhair jī nahīñ sakte the jiite haiñ
pas tai huā ki lāzim-o-malzūm kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com