Qaisar Abbas

ab dur talak yaad ka sahra hai nazar mein

Qaisar Abbas

ab duur talak yaad kā sahrā hai nazar meñ
kuchh roz to rahnā hai isī rāhguzar meñ
ham pyaas ke jañgal kī kamīñ-gah se na nikle
dariya-e-ināyat kā kināra thā nagar meñ
kis ke liye hāthoñ kī lakīroñ ko ubhāreñ
apnā to har ik pal hai sitāroñ ke asar meñ
ab ḳhvāb bhī dekhe nahīñ jaate ki ye āñhkeñ
bas jāgtī rahtī haiñ tire sāya-e-dar meñ
kis ke liye pairoñ ko aziyyat meñ rakhā jaa.e
ḳhud DhūñD ke tanhā.ī chalī aa.ī hai ghar meñ
phir zill-e-ilāhī ke savāroñ kī sadā aa.ī
phir kaun huā morid-e-ilzām nagar meñ
'qaisar' bhī salīb apnī uThā.e hue guzrā
kahte haiñ ki ḳhuddār thā jiine ke hunar meñ
Top Urdushayar.com