log haiñ muntazir-e-nūr-e-sahar muddat se
maiñ bhī baiThā huuñ sar-e-rāhguzar muddat se
muddatoñ dār-o-rasan ziist kā unvān rahe
morid-e-sañg haiñ is shahr meñ sar muddat se
jis kī manzil kā nishāñ tak bhī nahīñ nazroñ meñ
kab se us raah meñ haiñ mahv-e-safar muddat se
vo koī dasht-o-bayābāñ ho ki ābādī ho
ban chuke haiñ sabhī sho.aloñ ke nagar muddat se
reg-zāroñ meñ hai logoñ ko Thikānoñ kī talāsh
muntazir apne makīnoñ ke haiñ ghar muddat se
pā-ba-zanjīr haiñ imkān-e-rihā.ī to kujā
zañg-ālūd haiñ zindānoñ ke dar muddat se