Qaisar Abbas

apne hi log apne nagar ajnabi lage

Qaisar Abbas

apne hī log apne nagar ajnabī lage
vāpas ga.e to ghar kī har ik shai na.ī lage
ḳhānoñ meñ baT chukī thī samundar kī vus.ateñ
dariyā mohabbatoñ ke simaTtī nadī lage
rātoñ kī bheñT chaḌh ga.e vo chāñd jaise log
tārīkiyoñ ke dev jinheñ kāġhzī lage
sonā sameTtī thī jahāñ khetiyoñ meñ dhuup
vo fasl mere gaañv kī ḳhāshāk sī lage
raavī kī shaam sindh kī nikhrī huī sahar
kaam aa sake to un ko mirī zindagī lage
'qaisar' diloñ ke fāsle aaise na the kabhī
do gaam tai karūñ to mujhe ik sadī lage
Top Urdushayar.com