tum vaqt-e-sahar rauzan-e-dīvār meñ dekho
laalī sī kahīñ sub.h ke āsār meñ dekho
har jins kī qīmat hai mire sar se ziyāda
ruk kar to kabhī kūcha o bāzār meñ dekho
thak-hār ke sīkhe haiñ masāfat ke qarīne
ik taaza safar sāya-e-dīvār meñ dekho
ye atlas o kim-ḳhvāb mirā asl nahīñ haiñ
milnā ho to mujh ko mire pindār meñ dekho
ab jurm hai ham-sā.e kā ham-sā.e se milnā
ye taaza ḳhabar aaj ke aḳhbār meñ dekho
maiñ niiñd meñ chaltā huā kho jā.ūñ na 'qaisar'
aahaT mire qadmoñ kī shab-e-tār meñ dekho