Qaisar Abbas

KHwabon ka guzar dida-e-bedar se hoga

Qaisar Abbas

ḳhvāboñ kā guzar dīda-e-bedār se hogā
ḳhushbū kā safar har dar-o-dīvār se hogā
phir kāsa-e-sar kūcha-e-qātil meñ sajeñge
ye khel to jaarī rasan-o-dār se hogā
har harf se phūTegī kiran sub.h-e-junūñ kī
har baab raqam jur.at-e-iz.hār se hogā
pahchān sharāfat kī zar-o-māl se hogī
me.ār-e-suḳhan jubba-o-dastār se hogā
har sub.h kī nisbat kisī mazlūm se hogī
āġhāz har ik shab kā sitamgār se hogā
'qaisar' tire lafzoñ kī kasak yaad rahegī
andesha-e-daurāñ tire ash.ār se hogā
Top Urdushayar.com