Shafqat Tanveer Mirza

reg-e-rawan pe naqsh-e-kaf-e-pa na dekhna

Shafqat Tanveer Mirza

1932-2012
reg-e-ravāñ pe naqsh-e-kaf-e-pā na dekhnā
ā.īna-e-zamīr meñ chehrā na dekhnā
be-sarfa hai lahū kī tamāzat mire liye
asrār-e-jism-o-jāñ ko barhana na dekhnā
jo āñsuoñ ke la.al-o-javāhar bikher de
us ek mauj-e-dard ko uThtā na dekhnā
rātoñ kā chain din kā sukūñ ho agar aziiz
chaltā hai saath saath jo saaya na dekhnā
hai shab kī āstīñ meñ gunāhoñ kī raushnī
zaḳhm-e-nazar se sūrat-e-zebā na dekhnā
ham bhī fasīl-e-shahr ke saa.e meñ aa ruke
vā ho dar-e-murād to sahrā na dekhnā
ye ehtiyāt-e-vaz-e-junūñ hī nahīñ magar
rāh-e-vafā meñ apne ko begāna dekhnā
har shāḳh par jale hue lamhoñ kī raakh hai
fasl-e-bahār zaḳhm-e-tamannā na dekhnā
Top Urdushayar.com