kyā ajab apnī zindagānī hai
nā-mukammal sī ik kahānī hai
phuul khilne lage haiñ yādoñ ke
ab tabī.at meñ kuchh ravānī hai
ḳhuun Tapkā hai merī āñkhoñ se
ik masīhā kī mehrbānī hai
ḳhud ko kalma paḌhā liyā ham ne
phir bhī aadat vahī purānī hai
vo kitāboñ meñ rah gayā lekin
us kī zinda abhī kahānī hai
ek tū hī na thā mirā varna
saarī duniyā mirī dīvānī hai
zinda-jāved zaat hai us kī
aur jo kuchh bhī hai vo faanī hai