shikāyat ab nahīñ mujh ko kisī se
magar āñkhoñ kā rishta hai namī se
muhāfiz ab charāġhoñ kā vahī hai
jo vāqif hī nahīñ kuchh raushnī se
gañvā duuñ kaise maiñ is tarah yūñhī
tujhe paayā hai maiñ ne bandagī se
nigāhoñ se pilā detā hai jab vo
sambhaltā maiñ nahīñ huuñ phir kisī se
yahīñ par ḳhatm hotī hai kahānī
judā ab ho rahā huuñ zindagī se
vahī 'jāved' thā matlūb us ko
farishta ban gayā jo aadmī se