mausam-e-gul phir aane lagā hai
phir vahī ġham satāne lagā hai
aañkh kī ye namī kah rahī hai
yaad phir koī aane lagā hai
dekh kar us ke hāthoñ meñ patthar
aa.ina muskurāne lagā hai
ab sarāpā ġhazal ban ga.e vo
har koī gungunāne lagā hai
puurī kar dī kasar āshiqī ne
jā ke dil ab Thikāne lagā hai
aao 'jāved' ham bhī chaleñ ab
bazm se vo bhī jaane lagā hai