zavāl-e-shab tak vo rafta rafta charāġh tanhā jo jal rahā hai
vo pal ki jis kā maiñ muntazir thā vo dekho manzar badal rahā hai
fazā meñ ḳhushbū bhī jāñ-fizā hai ajab havāoñ meñ naġhmagī hai
ye kis kī aamad hai kaun hai vo ye dil kyuuñ itnā machal rahā hai
tumheñ zarūrat nahīñ ki pūchho hamāre ghar kā pata kisī se
vahīñ pe ruk kar ke dekh lenā dhuāñ jahāñ se nikal rahā hai
yahī hai anjām zindagī kā lahū meñ Duubā hai dekho sūraj
chamak rahā thā jo āsmāñ par ab us kā saaya bhī Dhal rahā hai
ajab hai yādoñ kā ye tasalsul ki jaise jhaḌiyāñ lagī huī haiñ
yuuñ dil sulagne lagā hai merā dimāġh 'jāved' jal rahā hai