Azad Ansari

ye ek shan-e-KHuda hai main nahin hun

Azad Ansari

Nagpur, Maharashtra, India

1871-1942
ye ik shān-e-ḳhudā hai maiñ nahīñ huuñ
vahī jalva-numā hai maiñ nahīñ huuñ
zamāna pahle mujh ko DhūñDtā hai
magar terā patā hai maiñ nahīñ huuñ
tire hote mirī hastī kā kyā zikr
yahī kahnā bajā hai maiñ nahīñ huuñ
sadā-e-nahno-aqrab kah rahī hai
ki tū mujh se judā hai maiñ nahīñ huuñ
vo ḳhud tashrīf-farmā-e-jahāñ haiñ
tumheñ dhokā huā hai maiñ nahīñ huuñ
kahāñ maiñ aur kahāñ ḳhabt-e-anal-haq
koī mere sivā hai maiñ nahīñ huuñ
mujhe 'āzād' duniyā kyuuñ na puuje
kisī kā naqsh-e-pā hai maiñ nahīñ huuñ
Top Urdushayar.com