na pūchho kaun haiñ kyuuñ raah meñ nā-chār baiThe haiñ
musāfir haiñ safar karne kī himmat haar baiThe haiñ
idhar pahlū se vo uTThe udhar duniyā se ham uTThe
chalo ham bhī tumhāre saath hī bekār baiThe haiñ
kise fursat ki farz-e-ḳhidmat-e-ulfat bajā laa.e
na tum bekār baiThe ho na ham bekār baiThe haiñ
jo uTThe haiñ to garm-e-justujū-e-dost uTThe haiñ
jo baiThe haiñ to mahv-e-ārzū-e-yār baiThe haiñ
maqām-e-dast-gīrī hai ki tere rah-rav-e-ulfat
hazāroñ justujueñ kar ke himmat haar baiThe haiñ
na pūchho kaun haiñ kyā mudda.ā hai kuchh nahīñ baabā
gadā haiñ aur zer-e-sāya-e-dīvār baiThe haiñ
ye ho saktā nahīñ 'āzād' se mai-ḳhāna ḳhālī ho
vo dekho kaun baiThā hai vahī sarkār baiThe haiñ