kaf-e-momin se na darvāza-e-daurāñ se milā
rishta-e-dard usī dushman-e-īmāñ se milā
is kā ronā hai ki paimāñ-shikanī ke bā-vasf
vo sitamgar usī peshānī-e-ḳhandāñ se milā
tālib-e-dast-e-havas aur ka.ī dāman the
ham se miltā jo na yūsuf ke garebāñ se milā
koī baaqī nahīñ ab tark-e-ta.alluq ke liye
vo bhī jā kar saf-e-ahbāb-e-gurezāñ se milā
kyā kaheñ is ko jo mahfil meñ shanāsā bhī na thā
kabhī ḳhalvat meñ dar aayā to dil-o-jāñ se milā
maiñ usī koh-sifat ḳhuun kī ik buuñd huuñ jo
reg-zār-e-najaf o ḳhāk-e-ḳhurāsāñ se milā