haq banā bātil banā nāqis banā kāmil banā
jo banānā ho banā lekin kisī qābil banā
shauq ke laa.eq banā armān ke qābil banā
ahl-e-dil banñe kī hasrat hai to dil ko dil banā
uqda to be-shak khulā lekin ba-sad-diqqat khulā
kaam to be-shak banā lekin ba-sad mushkil banā
jab ubhārā hai to apne qurb kī had tak ubhār
jab banāyā hai to apne lutf ke qābil banā
sab jahānoñ se judā apnā jahāñ taḳhlīq kar
sab makānoñ se judā apnā makān-e-dil banā
phir na.e sar se junūn-e-qais kī buniyād rakh
phir na.ī lailā banā naaqa banā mahmil banā
ye to samjhe aaj 'āzād' ek kāmil fard hai
ye na samjhe ek nāqis kis tarah kāmil banā