ga.e the vahāñ jī meñ kyā Thaan kar ke
chale aa.e īrān tūrān kar ke
agar dil kā bil-farz gul naam paḌ jaa.e
to phir hai ye siina gulistān kar ke
diyā ham ne dil un parī-chehragāñ ko
zarū-e-qayās aadmī jaan kar ke
ye duniyā hameñ ḳhush na aa.egī phir bhī
raheñ ḳhvāh ḳhud ko sulaimān kar ke
tire ġham meñ jis se mizha tar karūñ huuñ
vo ik qatra hai qulzumistān kar ke
dikhā hī diyā āḳhirash ahl-e-dil ne
isī daane se khet khaliyān kar ke
ye kyā chiiz tāmīr karne chale ho
binā-e-mohabbat ko vīrān kar ke
miyāñ ham to 'jāved' ko le ga.e the
diyā hī nahīñ us ne pahchān kar ke