Ahmad Javed

kiya hai dil ne begana jahan-e-murgh-o-mahi se

Ahmad Javed

1948
kiyā hai dil ne begāna jahān-e-murġh-o-māhī se
hameñ jāgīr-e-āzādī milī darbār-e-shāhī se
khilā hai ġhuncha-e-hairat havā-e-gāh-gāhī se
hue majzūb rafta rafta us kī kam-nigāhī se
tirī duniyā meñ ai dil ham bhī ik goshe meñ rahte haiñ
hameñ bhī kuchh ummīdeñ haiñ tirī ālam-panāhī se
re.āyā meñ shahanshāh-e-junūñ kī ham bhī dāḳhil haiñ
hameñ bhī kuchh na kuchh nisbat to hai zill-e-ilāhī se
hue haiñ bas-ki bai.at us nazar ke ḳhānvāde meñ
faqīrī se ta.alluq hai na matlab bādshāhī se
kiyā hai us nazar ne sarfarāz ahl-e-mohabbat ko
kisī ko tāj-dārī se kisī ko be-kulāhī se
kahāñ vo ḳhānumāñ-barbādi-e-ishq aur kahāñ ye ham
phirā karte haiñ yūñhī dar-ba-dar vaahī tabāhī se
Top Urdushayar.com