Ahmad Javed

kitne mein banti hai mohr aisi

Ahmad Javed

1948
kitne meñ bantī hai mohr aisī
nā-chīz ahmad-jāved-'ovaisī'
mere suḳhan meñ hai ek shai sī
āvāz itnī ḳhāmoshī aisī
kal āshiqoñ kā aate hī mazkūr
kyā kyā na bahke allāma-qaisī
is mantiqī par apnī nazar hai
min-vaj.h aisī min-vaj.h vaisī
yaañ kā na honā bhī vahm hī hai
butlān kis kā tahqīq kaisī
khultī nahīñ hai mujh par ye duniyā
dil meñ nahīñ sī āñkhoñ meñ hai sī
jitnī masāfat sar kar chukā huuñ
lagtī hai vo bhī nā-karda tai sī
sūkhā paḌā hai dariyā to kab kā
hai mauj-ḳhezī vaisī kī vaisī
ab shahr saarā ġharqāb jaano
ashkoñ meñ aa.ī ye buuñd kaisī
sāġhar milā hai sāġhar sā mujh ko
us meñ bharī hai mai koī mai sī
detā hai tark-e-duniyā kī dāvat
'jāved' kī to aisī-kī-taisī
Top Urdushayar.com