maujūd haiñ kitne hī tujh se bhī hasīñ kar ke
jhuTlā diyā āñkhoñ ko maiñ dil pe yaqīñ kar ke
jis chashm se rindoñ meñ hū-haq hai usī ne to
zāhid ko bhī rakkhā hai mehrāb-nashīñ kar ke
kyā us kī latāfat kā ahvāl bayāñ kījiye
jo dil pe huā zāhir āñkhoñ ko nahīñ kar ke
kuchh kam thā balā-e-jāñ pe chehra ki uupar se
āñkheñ bhī banā laa.e ġhārat-gar-e-dīñ kar ke
ā.īne ke aage se ab uTh bhī chuko sāhab
kyā kījiyegā ḳhud ko itnā bhī hasīñ kar ke
sau daaġh haiñ siine meñ vo dāġh-e-judā.ī bhī
dekho to zarā hogā un meñ hī kahīñ kar ke
is dil kā to naqsha hī duniyā ne badal Daalā
kuchh yaad hai rahtā thā vo bhī to yahīñ kar ke
'jāved' vahāñ tak to mushkil hai koī pahuñche
mañgvā.iye qāsid bhī jibrīl-e-amīñ kar ke