Ahmad Javed

kisi ka dhyan mah-e-nim-mah mein aaya

Ahmad Javed

1948
kisī kā dhyān mah-e-nīm-māh meñ aayā
safar kī raat thī aur ḳhvāb raah meñ aayā
tulū-e-sā.at-e-shab-ḳhūñ hai aur merā dil
kisī sitāra-e-bad kī nigāh meñ aayā
mah o sitāra se dil kī taraf chalā vo javāñ
adū kī qaid se apnī sipāh meñ aayā
jihād-e-ġham meñ koī sust zarb merī tarah
giraft-e-maisara-e-ashk-o-āh meñ aayā
sitāre Duub ga.e aur vo sitāra-gar
thakan se chuur zamīñ kī panāh meñ aayā
charāġh hai mirī rātoñ kā ek ḳhvāb-e-visāl
jo koī pal tirī chashm-e-siyāh meñ aayā
dukhī diloñ kī salāmī qubūl karte hue
nazar jhukā.e koī ḳhānqāh meñ aayā
Top Urdushayar.com