Ahmad Javed

magar wo diya hi nahin man kar ke

Ahmad Javed

1948
magar vo diyā hī nahīñ maan kar ke
bahut ham ne dekhā hai jī jaan kar ke
kabhī dil ko bhī sair kar jaao sāhab
ye ġhuncha bhī haigā gulistān kar ke
nazar is sarāpe meñ sau jā se palTī
zuleḳhā.i yūsufistān kar ke
vo jis roz nikleñ jag ujiyārne ko
ye dil bhī dikhā lā.iyo dhyān kar ke
janāb aap huur o malak hoñge lekin
samajhiyegā āshiq ko insān kar ke
tirī lāla-zārī salāmat ki ham bhī
khaḌe haiñ koī ġhuncha armān kar ke
masīh o ḳhizr sar-ba-kaf phir rahe haiñ
koī us pe marnā hai āsān kar ke
mirī kisht-e-jāñ par se guzrā hai 'jāved'
sahāb-e-junūñ zor-e-bārān kar ke
Top Urdushayar.com