Ahmad Javed

mujhse baDa hai mera haal

Ahmad Javed

1948
mujh se baḌā hai merā haal
tujh se chhūTā terā ḳhayāl
chaar pahar kī hai ye raat
aur judā.ī ke sau saal
haath uThā kar dil par se
āñkhoñ par rakkhā rumāl
nañg hai takiyedāroñ kā
pā-e-talab yā dast-e-savāl
man jo kahtā hai mat sun
yā phir tan par miTTī Daal
ujlā ujlā terā ruup
dhundle dhundle ḳhadd-o-ḳhāl
sukh kī ḳhātir dukh mat bech
jaal ke pīchhe jaal na Daal
rāj-siñghāsan merā dil
aan birāje haiñ jagpāl
kis din ghar aayā 'jāved'
kab paayā hai us ko bahāl
Top Urdushayar.com