aañsū kī tarah dīda-e-pur-āb meñ rahnā
har gaam mujhe ḳhāna-e-sailāb meñ rahnā
vo abru-e-ḳhamdār nazar aa.e to samjhe
āñkhoñ kī tarah sāya-e-mehrāb meñ rahnā
ġhaflat hī meñ kaTte haiñ shab-o-roz hamāre
har aan kisī dhyān kisī ḳhvāb meñ rahnā
din bhar kisī dīvār ke saa.e meñ tag-o-tāz
shab justujū-e-chādar-e-mahtāb meñ rahnā
vīrāna-e-duniyā meñ guzarte haiñ mire din
rātoñ ko ravāq-e-dil-e-betāb meñ rahnā
miTTī to har ik haal meñ miTTī hī rahegī
kyā TaaT meñ kyā qāqum o sanjāb meñ rahnā
ghar aur bayābāñ meñ koī farq nahīñ hai
lāzim hai magar ishq ke ādāb meñ rahnā
ik pal ko bhī āñkheñ na lagīñ ḳhāna-e-dil meñ
har lamha nigahbāni-e-asbāb meñ rahnā