Ahmad Javed

hamari ham-nafasi ko bhi kya dawam hua

Ahmad Javed

1948
hamārī ham-nafasī ko bhī kyā davām huā
vo abr-e-surḳh to maiñ naḳhl-e-intiqām huā
yahīñ se mere adū kā ḳhamīr uTThā thā
zamīn dekh ke maiñ teġh-e-be-niyām huā
ḳhabar nahīñ hai mire bādshāh ko shāyad
hazār martaba āzād ye ġhulām huā
ajab safar thā ajab-tar musāfirat merī
zamīñ shurū huī aur maiñ tamām huā
vo kāhilī hai ki dil kī taraf se ġhāfil haiñ
ḳhud apne ghar kā bhī ham se na intizām huā
huī hai ḳhatm dar-o-bām kī kam-asbābī
mayassar aaj vo sāmān-e-inhidām huā
Top Urdushayar.com