Mustafa Zaidi

kabhi jhiDki se kabhi pyar se samjhate rahe

Mustafa Zaidi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1929-1970
kabhī jhiḌkī se kabhī pyaar se samjhāte rahe
ham ga.ī raat pe dil ko liye bahlāte rahe
apne aḳhlāq kī shohrat ne ajab din dikhlā.e
vo bhī aate rahe ahbāb bhī saath aate rahe
ham ne to luT ke mohabbat kī rivāyat rakh lī
un se to pochhiye vo kis liye pachhtāte rahe
us ke to naam se vābasta hai kaliyoñ kā gudāz
āñsūo tum se to patthar bhī pighal jaate rahe
yuuñ to nā-ahloñ ke piine pe jigar kaTtā thā
ham bhī paimāne ko paimāne se Takrāte rahe
un kī ye vaz-e-qadīmāna bhī allāh allāh!
pahle ehsān kiyā ba.ad ko sharmāte rahe
yuuñ kise miltī hai ma.amūl se fursat lekin
ham to is lutf-e-ġham-e-yār se bhī jaate rahe
Top Urdushayar.com