Ahmad Javed

tha jaanib-e-dil subh-dam wo KHush-KHiram aaya hua

Ahmad Javed

1948
thā jānib-e-dil sub.h-dam vo ḳhush-ḳhirām aayā huā
aadhā qadam sū-e-gurez aur nīm-gām aayā huā
raqs aur pā-kūbī karūñ lāzim hai majzūbī karūñ
dekho to hai merā sanam merā imaam aayā huā
dariyā-e-darveshī ke beach tūfān-e-be-ḳhveshī ke beach
vo gauhar-e-sairāb vo sāhab-maqām aayā huā
ai dil batā ai chashm kah ye rū-e-dil-bar hī to hai
yā māh-e-charḳh-haft meñ bālā-e-bām aayā huā
hai zarra zarra par sadā ahlav-va-sahlan marhabā
kyā sar-zamīn-e-dil pe hai vo aaj shaam aayā huā
tujh par paḌī ye kī chhūT ai chashm-e-hairāñ kuchh to phuuT
kyā hadd-e-bīnā.ī meñ hai vo ġhaib-e-fām aayā huā
larzāñ hai dil meñ raaz sā sho.ala qadīm-āvām sā
yā lāla-e-ḳhāmosh par rañg-e-davām aayā huā
hai mausam-e-dīvāngī phir chaak ījād mirī
lauTā rahe haiñ pahle kā ḳhayyāt kaam aayā huā
merī taraf se ai aziiz dil meñ na rakhnā koī chiiz
phirte bhī dekhā hai kahīñ sāhab ġhulām aayā huā
ḳhurshīd-sāmānī tirī aur zarra-dāmānī mirī
hai ajūba dekhne har ḳhās-o-ām aayā huā
ik girdāḌī sahrā samet ik mauj uThī dariyā samet
duniyā-e-ḳhāk-o-āb meñ thā koī shaam aayā huā
yak umr-raftārī ke saath yak māh-sayyārī ke saath
yak charḳh-e-davārī ke saath gardish meñ jaam aayā huā
sad-chashm bedārī ke saath sad-sīna sarshārī ke saath
sau sau tarah shahbāz dil hai zer-e-dām aayā huā
Top Urdushayar.com