Ahmad Javed

nihaal-e-wasl nahin sang-bar karne ko

Ahmad Javed

1948
nihāl-e-vasl nahīñ sañg-bār karne ko
bas ek phuul hai kaafī bahār karne ko
kabhī to apne faqīroñ kī dil-kushā.ī kar
ka.ī ḳhazāne haiñ tujh par nisār karne ko
ye ek lamhe kī duurī bahut hai mere liye
tamām umr tirā intizār karne ko
kashish kare hai vo mahtāb dil ko zoroñ kī
chalā ye qatra bhī qulzum nisār karne ko
to phir ye dil hī na le aa.uuñ ḳhuub chamkā kar
tire jamāl kā ā.īna-dār karne ko
qabā-e-marg ho yā raḳht-e-zindagī ai dost
mile haiñ donoñ mujhe taar taar karne ko
bahut sā kaam diyā hai mujhe un āñkhoñ ne
havāla-e-dil-e-nā-kardā-kār karne ko
Top Urdushayar.com