sabā dekh ik din idhar aan kar ke
ye dil bhī paḌā hai gulistān kar ke
yahī dil jo ik buuñd hai bahr-e-ġham kī
Dubo degā sab shahr tūfān kar ke
miyāñ dil ko is ā.ina-rū ke aage
jo rakhnā to yak-laḳht hairān kar ke
ḳhudā jaane kyā asliyat ġhair kī hai
dikhe hai banī-nau-e-insān kar ke
use ab raqīboñ meñ paate haiñ aksar
rakhā jis ko ḳhud se bhī anjān kar ke
dikhā deñge achchhā isī fasl-e-gul meñ
garebān ko ham garebān kar ke
hamāre to ik ghar bhī hai bhaa.ī majnūñ
paḌe haiñ usī ko bayābān kar ke