Ahmad Javed

barish ka hai aisa kal

Ahmad Javed

1948
bārish kā hai aisā kaal
sūkhe paḌe haiñ dil ke taal
ye hī mere dukh sukh haiñ
kapḌā lattā aaTā daal
dillī kā taḳhta ulTā
dil kī jamī hai magar chaupāl
ā.inda kī fikr na kar
varna dekh le merā haal
aañsū piinā ġham khānā
kaafī hai ye rizq-e-halāl
duniyā aur duniyā kī chaah
jhūTā dariyā naqlī jaal
dil kā guzārā kaise ho
saare yaar hue kañgāl
jīvan nañgā parbat hai
kaThin chaḌhā.ī beDhab Dhaal
aag se yaarī mat karnā
aise dil ko bhaaḌ meñ Daal
miTTī ko parvā hī nahīñ
kis kā chāñd hai kis kā laal
Top Urdushayar.com