Ahmad Javed

koi jal mein KHush hai koi jal mein

Ahmad Javed

1948
koī jal meñ ḳhush hai koī jaal meñ
mast haiñ sab apne apne haal meñ
jāda-e-shamshīr ho yā farsh-e-gul
farq kab aayā hamārī chaal meñ
ek aañsū se kamī aa jā.egī
ġhāliban dariyāoñ ke iqbāl meñ
shola-e-sad-rañg kī sī kaifiyat
tujh meñ hai yā tere ḳhadd-o-ḳhāl meñ
ek lamha merā yār-e-ġhār hai
is musībat-gāh-e-māh-o-sāl meñ
ye jo mere jī ko chain aatā nahīñ
hind meñ īrān meñ bañgāl meñ
roz kā ronā lagā hai apne saath
ham ne āñkheñ bāñdh liiñ rumāl meñ
diida o dil ne kiyā hai kaam band
Thap hai kārobār is haḌtāl meñ
is nigāh-e-nāz kī ek ek baat
hai hamāre piir ke aqvāl meñ
dil pe saaya hai kisī sultān kā
varna kyā rakkhā hai is kañgāl meñ
Top Urdushayar.com