Ahmad Javed

dil-e-betab ke hamrah safar mein rahna

Ahmad Javed

1948
dil-e-betāb ke hamrāh safar meñ rahnā
ham ne dekhā hī nahīñ chain se ghar meñ rahnā
svāñg bharnā kabhī shāhī kabhī durveshī kā
kisī sūrat se mujhe us kī nazar meñ rahnā
ek hālat pe basar ho nahīñ saktī merī
jāma-e-ḳhāk kabhī ḳhil.at-e-zar meñ rahnā
din meñ hai fikr-e-pas-andāzi-e-sarmāya-e-shab
raat bhar kāvish-e-sāmān-e-sahar meñ rahnā
dil se bhāge to liyā dīda-e-tar ne goyā
aag se bach ke nikalnā to bhañvar meñ rahnā
ahl-e-duniyā bahut ārām se rahte haiñ magar
kab mayassar hai tirī rāhguzar meñ rahnā
vasl kī raat ga.ī hijr kā din bhī guzrā
mujhe vāraftagi-e-hāl-e-digar meñ rahnā
kar chukā hai koī aflāk o zamīñ kī takmīl
phir bhī har aan mujhe arz-e-hunar meñ rahnā
Top Urdushayar.com