dil ā.īna hai magar ik nigāh karne ko
ye ghar banāyā hai us ne tabāh karne ko
gul-e-visāl abhī dekhā na thā ki aa pahuñchī
shab-e-firāq bhī āñkheñ siyāh karne ko
galīm o taḳht utāre haiñ ġhaib se us ne
mujhe faqīr tujhe bādshāh karne ko
saje haiñ dasht o bayābāñ ajab qarīne se
tujhe savār mujhe gard-e-rāh karne ko
milī mujhe tirī ham-sā.egī so duniyā meñ
tamīz-e-martaba-e-koh-o-kāh karne ko
damīda har shajar-e-gard-bād naḳhl-e-junūñ
hamāre chāk-e-garebāñ se raah karne ko
Dil-e-gudāḳhta o chashm-e-tar hī kaafī hai
futūh-e-mamlikat-e-mehr-o-māh karne ko