kyā pūchhte ho shahr meñ ghar aur hamārā
rahne kā hai andāz idhar aur hamārā
vo teġh na jaane kidhar uThtī hai abhī to
jhagḌā hai dil-e-sīna-sipar aur hamārā
jab hosh meñ aa.e to use dekh bhī leñge
filhāl hai andāz-e-nazar aur hamārā
ye mohr o nishāñ tabl-o-alam ḳhuub hai lekin
baḌh jā.egā kuchh bār-e-safar aur hamārā
dil aisā makāñ chhoḌ ke ye haal huā hai
yaanī nigah-e-ḳhāna-badar aur hamārā