āḳhirul-amr tirī samt safar karte haiñ
aaj is naḳhl-e-masāfat ko shajar karte haiñ
jo hai ābād tirī ā.ina-sāmānī se
ham isī ḳhāna-e-hairat meñ basar karte haiñ
dil to vo peT kā halkā hai ki bas kuchh na kaho
apnī hālat se kab aisoñ ko ḳhabar karte haiñ
vasl aur hijr haiñ donoñ hī miyāñ se bai.at
dekhiye kis pe ināyat kī nazar karte haiñ
dil ne kuchh zor dikhāyā to ye sunñā ik din
ham bhī alvand-e-ġham-e-yār ko sar karte haiñ
tum ko to diin kī bhī fikr hai duniyā kī bhī
bhaa.ī ham to yūñhī bekār basar karte haiñ