hargiz na raah paa.ī fardā-o-dī ne dil par
rahtī hai ek hālat bārah mahīne dil par
sakte meñ haiñ mah-o-mehr dariyā paḌe haiñ be-bahr
hai saḳht ġhair-mauzūñ duniyā zamīn-e-dil par
sho.ala charāġh meñ hai saudā dimāġh meñ hai
sābit qadam huuñ ab tak dīn-e-mubīn-e-dil par
yā-ayyohal-majāzīb hai bas-ki zer-e-tartīb
majmūatul-fatāvā qaul-e-matīn-e-dil par
likh lo ye merī raa.e kyā kyā sitam na Dhaa.e
kal dil ne aadmī par aaj aadmī ne dil par
ye rañj nā-kashīda ye jeb nā-darīda
ai ishq rahm haañ rahm in tārkīn-e-dil par
maano ye ghar na chhoḌo duniyā ko dekhte ho
jo kuchh guzar chukī hai is nā-makīn-e-dil par
ik sar hai nā-kashūda ik qaul nā-shanūda
ik naġhma nā-sarūda tarz-e-navīn-e-dil par
paḌtā hai jasta jasta maddham sā aur shikasta
ik māh-e-nīlmīñ kā partav nagīn-e-dil par
sau baar idhar se guzrā vo ātishīñ chaman sā
ik barg-e-gul na rakkhā dast-e-yamīn-e-dil par
ḳhūñ-basta chashm-e-hairāñ paivasta la.an-gardāñ
be-dīd balki be-dard balki kamīne dil par
tūfān uThā rakhā thā āñkhoñ ne vāh-vā kā
us kī nazar nahīñ thī kal āfrīn-e-dil par
rañgīn to bahut hai duniyā magar mahāshay
dhabbe se paḌ ga.e haiñ kuchh āstīn-e-dil par
vo māh-e-nāznīñ hai yā sarv-ātishīñ hai
yā fitna-e-qayāmat barpā zamīn-e-dil par
sab nā-malāmatoñ ko sab be-karāmatoñ ko
sab sar-salāmatoñ ko laanā hai dīn-e-dil par
'jāved' ko dikhā kar kahtā hai sab se dilbar
ūdham machā rakhā thā in bhā.ī-jī ne dil par
fārūqī aur ahmad-mushtāq ko tahayyat
shāḳh-e-ġhamgīn-e-dil par hisn-e-hasīn-e-dil par