''zabān-e-ġhair se kyā sharh-e-ārzū karte''
vo ḳhud agar kahīñ miltā to guftugū karte
vo zaḳhm jis ko kiyā nok-e-āftāb se chaak
usī ko sozan-e-mahtāb se rafū karte
savād-e-dil meñ lahū kā surāġh bhī na milā
kise imaam banāte kahāñ vazū karte
vo ik tilism thā qurbat meñ us ke umr kaTī
gale lagā ke use us kī aarzū karte
halaf uThā.e haiñ majbūriyoñ ne jis ke liye
use bhī log kisī roz qibla-rū karte
junūñ ke saath bhī rasmeñ ḳhirad ke saath bhī qaid
kise rafīq banāte kise adū karte
hijāb uThā diye ḳhud hī nigār-ḳhānoñ ne
hameñ dimāġh kahāñ thā ki aarzū karte