gard-e-firāq ġhāza kash-e-ā.ina na ho
chāho jo tum to apne tasarruf meñ kyā na ho
sajde ke har nishāñ pe hai ḳhuuñ sā jamā huā
yaaro ye us ke ghar kā kahīñ rāsta na ho
zaḳhmoñ kī mish.aleñ liye guzrā hai dil se kaun
yādoñ kā koī bhaTkā huā qāfila na ho
kab se khaḌā huuñ ek do-rāhe pe but banā
sab kuchh jo dekhtā ho magar boltā na ho
chūmo lagāo āñkhoñ se sar par rakkho use
ye zindagī varaq kisī injīl kā na ho
sau baar ik galī meñ mujhe le gayā ye vahm
khiḌkī se koī maslahatan jhāñktā na ho
sharmā ga.e the donoñ hī pahlī nazar ke baad
shāyad tumheñ to yaad bhī vo vāqi.a na ho
laao na mere sāmne aariz ke āftāb
chehre pe koī harf-e-tamannā likhā na ho
maazī ke reg-zār pe rakhnā sambhal ke paañv
bachchoñ kā is meñ koī gharauñdā banā na ho
ho kar judā bhī us se 'na.īmī' maiñ jī to luuñ
lekin ye Dar hai is se kahīñ vo ḳhafā na ho