bahār ban ke ḳhizāñ ko na yuuñ dilāsā de
nigāheñ pher le apnī na ḳhud ko dhokā de
masāf-e-zīst hai bhar de lahū se jaam mirā
na muskurā ke mujhe sāġhar-e-tamannā de
khaḌā huā huuñ sar-e-rāh muntazir kab se
ki koī guzre to ġham kā ye bojh uThvā de
vo aañkh thī ki badan ko jhulas ga.ī qurbat
magar vo shola nahīñ ruuh ko jo garmā de
hujūm-e-ġham vo rahā umr bhar dar-e-dil par
ḳhushī isī meñ rahī ye hujūm-e-rastā de
likhā hai kyā mire chehre pe tū jo sharmāyā
zabān se na batā ā.īnā hī dikhlā de
maiñ laḌkhaḌā sā gayā huuñ vafā ke vaade par
pakaḌ ke haath mujhe ghar talak to pahuñchā de
sukūt-e-anjum-o-mah ne chhupā liyā hai jise
jhukī nazar na kisī ko vo raaz batlā de
har ek dard kā darmāñ hai log kahte haiñ
magar vo dard 'na.īmī' jo ḳhud masīhā de