Abdul Hafiz Naeemi

is tilsim-e-roz-o-shab se to kabhi niklo zara

Abdul Hafiz Naeemi

Pilibhit, Uttar pradesh, India

1911
is tilsim-e-roz-o-shab se to kabhī niklo zarā
kam se kam vijdān ke sahrā hī meñ ghūmo zarā
naam kitne hī likhe haiñ dil kī ik mehrāb par
hogā in meñ hī tumhārā naam bhī DhūñDo zarā
bad-gumānī kī yahī ġhairoñ ko kaafī hai sazā
muskurā kar phir usī din kī tarah dekho zarā
vaqt ke patthar ke nīche ik dabā chashma huuñ maiñ
aao pyāso mil ke ye patthar uThāo to zarā
husn ik dariyā hai sahrā bhī haiñ us kī raah meñ
kal kahāñ hogā ye dariyā ye bhī to socho zarā
do kaloñ ke biich meñ ik aaj huuñ uljhā huā
merī is kam-fursatī ke karb ko samjho zarā
vus.at-e-kaun-o-makāñ bhī ab huī jaatī hai tañg
aur bhī kuchh ai junūñ vaalo abhī simTo zarā
thak ga.e hoge bahut pur-pech thī chāhat kī raah
aao merī god meñ sar rakh ke sustā lo zarā
ek miTte lafz ke bhī kaam aa jaao kabhī
sañg-e-dil par miTne se pahle mujhe likh lo zarā
hai ta.āqub meñ 'na.īmī' saaya sā ik roz o shab
dost hī shāyad ho koī muḌ ke to dekho zarā
Top Urdushayar.com