Abdul Hafiz Naeemi

ghubar-e-dard se sara badan aTa nikla

Abdul Hafiz Naeemi

Pilibhit, Uttar pradesh, India

1911
ġhubār-e-dard se saarā badan aTā niklā
jise bhī ḳhanda-ba-lab dekhā ġham-zadā niklā
ab ehtiyāt bhī aur kyā ho be-libās to huuñ
ik āstīn se maanā ki azhdahā niklā
mire ḳhulūs pe shak kī to koī vaj.h nahīñ
mire libās meñ ḳhanjar agar chhupā niklā
lagā jo piiTh meñ neza to samjhe dushman hai
magar palaT ke jo dekhā to āshnā niklā
mire lahū se hai rañgīñ jabīn-e-sub.h to kyā
chalo ki zulmat-e-shab kā to hauslā niklā
ye haath raakh meñ ḳhvāboñ kī Dālte to ho
magar jo raakh meñ shola koī dabā niklā
sunā thā hadd-e-tabassum hai āñsuoñ se qarīb
baḌhe jo aage to barsoñ kā fāslā niklā
vo ek harf-e-tamannā jo kahte Darte the
zabāñ pe aayā to un kā hī mudda.ā niklā
kulāh kaj kiye din bhar jo shaḳhs phirtā thā
galī meñ shaam ko dekhā to vo gadā niklā
tulū sub.h 'na.īmī' jahāñ se honī thī
usī ufuq se andheroñ kā silsilā niklā
Top Urdushayar.com