hoñkte dasht meñ ik ġham kā samundar dekho
tum kisī roz agar dil meñ utar kar dekho
niklo saḌkoñ pe to hañstī huī lāshoñ se milo
band āñkheñ jo karo qatl kā manzar dekho
aañch qurbat kī na pighlā de kahīñ tār-e-nazar
shola-e-husn ko kuchh duur se bach kar dekho
ye to kahte ho ki ḳhud maiñ ne kaTā.ī gardan
koī hāthoñ meñ havā ke bhī to ḳhanjar dekho
āstīneñ to kahīñ chupke se dho lo yaaro
ho kisī ko na shubah qatl kā tum par dekho
dar o dīvār se uThte haiñ ye shole kaise
dosto chal ke zarā ghar ke to andar dekho
haDDiyāñ gal chukīñ ab to na ukheḌo un ko
DhūñD leñ phir ye nayā koī na paikar dekho
maiñ bhī is safha-e-hastī pe ubhar saktā huuñ
rañg to tum mirī tasvīr meñ bhar kar dekho
ab to khiltī huī kaliyoñ meñ na DhūñDo mujh ko
raakh hote hue ik shole kā manzar dekho
pheñk do TuuTī ummīdoñ ke ye TukḌe bāhar
dil meñ rah jaa.e kirich koī na gaḌ kar dekho
liye ā.īna vafāoñ kā kahāñ phirte ho
hoñ na hāthoñ meñ kahīñ andhoñ ke patthar dekho
ek muddat se hai logoñ ko 'na.īmī' kī talāsh
qasr-e-tanhā.ī kī dīvāreñ girā kar dekho