Abdul Hafiz Naeemi

dua ko hath mera jab kabhi uTha hoga

Abdul Hafiz Naeemi

Pilibhit, Uttar pradesh, India

1911
duā ko haath mirā jab kabhī uThā hogā
qazā-o-qadr kā chehra utar gayā hogā
jo apne hāthoñ luTe haiñ bas is pe zinda haiñ
ḳhudā kuchh un ke liye bhī to sochtā hogā
tirī galī meñ koī saa.e raat bhar ab bhī
surāġh-e-jannat gum-gashta DhūñDtā hogā
jo ġham kī aañch meñ pighlā kiyā aur aah na kī
vo aadmī to nahīñ koī devtā hogā
tumhāre sañg-e-taġhāful kā kyuuñ kareñ shikva
is aa.ine kā muqaddar hī TūTnā hogā
hai mere qatl kī shāhid vo āstīñ bhī magar
maiñ kis kā naam luuñ sau baar sochnā hogā
ye merī pyaas ke sāġhar tere laboñ kī sharāb
ravāj-o-rasm-e-mohabbat kā mojaza hogā
phir aarzū ke khañDar rañg-o-bū meñ Duub chale
fareb-ḳhurda koī ḳhvāb dekhtā hogā
sitāre bhī tirī yādoñ ke bujhte jaate haiñ
ġham-e-hayāt kā sūraj nikal rahā hogā
sadā kise deñ 'na.īmī' kise dikhā.eñ zaḳhm
ab itnī raat ga.e kaun jāgtā hogā
Top Urdushayar.com