bujh ga.ī sham-e-haram bāb-e-kalīsā na khulā
khul ga.e zaḳhm ke lab terā darīcha na khulā
dar-e-tauba se bagūloñ kī tarah guzre log
abr kī tarah umaD aa.e jo mai-ḳhāna khulā
shahr-dar-shahr phirī mirī gunāhoñ kī bayāz
ba.az nazroñ pe mirā soz-e-hakīmāna khulā
nāznīnoñ meñ rasā.ī kā ye aalam thā kabhī
laakh pahroñ meñ bhī darvāze pe darvāza khulā
ham parī-zādoñ meñ khele shab-e-afsūñ meñ pale
ham se bhī tere tilismāt kā uqda na khulā
ek ik shakl ko dekhā hai baḌī hasrat se
ajnabī kaun hai aur kaun shanāsā na khulā
ret par pheñk ga.ī aql kī gustāḳh-labī
phir kabhī kashf-o-karāmāt kā dariyā na khulā